Wiladat(Paidaish)-e-Muhammad Mustafa

Wiladat(Paidaish)-e-Muhammad Mustafa

Wiladat (Paidaish):

Huzure Aqdas ki tareekhe paidaish mein ikhtilaf hai. Magar mashhoor riwayat yahi hai ke ‘Waqia-e-Ashabe Feel’ se pachpan din ke baad 12/Rabiul Awwal, mutabiq 20/April/571 E. wiladate baasadat ki tareekh hai. Ahle Makkah ka bhi isi par amal hai ke woh log barahwi Rabiul Awwal hi ko Kashana-e-Nubuwwat ki ziyarath ke liye jaate hain aur wahan Meelad Shareef ki mehfilein manate hain.(Madarijun Nubuwwah Jild-2, Safa-14)

Duniya ki Tareekh ka Sabse Azmat Wala Din

Tareekh e Alam(Duniya) mein yeh woh nirala aur azmat wala din hai ke isi roz duniya ki paidaish ka sabab, gardish-e-lail-o-nahar ka matloob, khalqe Aadmi ka maqsad, kishti-e-Nooh ki hifazat ka raaz, bani-e-Kaaba ki dua, ibne Maryam ki khushkhabri ka zuhoor hua.

Nabi Kareem ﷺ – Rehmat aur Rahnumai ke Paikar

Duniya ke uljhe hue gesuon ko sanwarne wala, tamam jahan ke bigre nizaamon ko sudharne wala yane: Woh nabiyon mein rehmat laqab pane wala Muraden gareebon ki bar lane wala Museebat mein ghairon ke kaam aane wala Woh apne parae ka gham khane wala Fakeeron ka mawa, zaeefon ka malja Yateemon ka wali, ghulaamon ka maula.

Wiladat-e-Mustafa ﷺ ka Mo’jizati Manzar

Sanadul-Asfiya, Ashraful-Anbiya, Ahmade Mujtaba Muhammad(Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam) alam-e-wujood mein tashreef laaye. Pakiza badan, naaf burida, khatna kiye hue, khushboo mein base hue bahaalat-e-sajda, Makkah Mukarrama ki muqaddas sarzameen mein apne walide maajid ke makan ke andar paida hue.

Dada Abdul Muttalib ka Jazba-e-Khushi

Baap kahan the jo bulae jaate aur apne bachche ko dekh kar khush hote. Woh to pehle hi wafat paa chuke the. Dada bulae gaye jo us waqt tawaafe Kaaba mein mashgool the. Yeh khushkhabri sunkar dada ‘Abdul Muttalib’ khush khush Harame Kaaba se apne ghar aaye aur bharpoor joshe muhabbat mein apne pote ko kaleje se laga liya. Phir Kaaba mein le ja kar khair o barkat ki dua maangi. ‘Muhammad’ naam rakha.

Abu Lahab ki Laundi Suwaiba aur Uski Azadi ka Waqia

Aapke chacha Abu-Lahab ki laundi ‘Suwaiba’ khushi se daudti hui gayi aur ‘Abu-Lahab’ ko bhtija paida hone ki khushkhabri di to usne is khushi mein ‘shahadat ki ungli ke ishaare se’ Suwaiba ko aazaad kar diya.

Abu Lahab ke Amal ka Ajr aur Ilahi Reham

Jiska fal Abu Lahab ko yeh mila ke uski maut ke baad uske ghar walon ne usko khwab mein dekha aur haal poocha to usne apni ungli uthakar yeh kaha ke “tum logon se juda hone ke baad mujhe kuch (khane-pine) ko nahi mila. Siwae iske ke ‘Suwaiba’ ko aazaad karne ke sabab se is ungli ke zariye kuch paani pila diya jata hoon.” (Bukhari Jild-2, Wa Ummihatukumullati Arzanakum)

Hazrat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Rahmatullah Alaih ka Paigham

Is mauqe par Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaihirrahma ne ek bohot hi achhi aur ankhon ko kholne wali baat tahreer farmai hai jo ahle muhabbat ke liye nihayath hi lazzatbakhsh hai. Woh likhte hain ke:- Is jagah Meelad karne walon ke liye ek sanad hai ki Nabi Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam) ki paidaish ki raat mein khushi manate hain aur apna maal kharch karte hain.

Meelad Shareef Manane Walon ke Liye Basharat

Matlab yeh hai ke jab Abu Lahab ko jo kafir tha aur uski burai mein Quran nazil hua. Nabi Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam) ki wilaadat ki khushi manane aur naukarani ka doodh kharch karne par badla diya gaya to us musalmaan ka kya haal hoga jo Nabi Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam) ki muhabbat mein doob kar khushi manata hai aur apna maal kharch karta hai.”

share this with friends

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top