
Nabi ﷺ Ne Sabse Pehle Kis Ka Doodh Piya Tha?
Sabse pehle Huzoor ne Abu Lahab ki laundi ‘Hazrate Suwaiba’ ka doodh piya. Phir apni walida majida Hazrate Amina ke doodh se sairaab hote rahe. Phir Hazrate Halima Saadiya aapko apne saath le gayi. Apne qabile mein rakhkar aapko doodh pilati rahi. Unhi ke paas aapke doodh peene ka zamana guzra. (Madarijun Nubuwwah Jild-1, Safa-18)
Arab Mein Bachon Ko Doodh Pilane Ki Riwayat
Arab ke bade-bade logon ki aadat thi ke woh apne bachon ko doodh pilane ke liye qib ke dehaaton mein bhej dete the. Dehaat ki saaf suthri aab-o-hawa mein bachon ki tandurusti aur jismani sehat bhi achhi ho jaati thi aur woh behtareen aur fasiih Arabi zaban seekh jaate the. Kyunki shahar ki zaban baahar ke aadmiyon ke mel-jol se khalis aur fasiih wa baligh zaban nahi raha karti thi.
Hazrat Halima Saadiya Ka Doodh Pilane Wale Bachon Ki Talash Ka Safar
Hazrate Halima ka bayan hai ke main ‘Bani Saad’ ki auraton ke sath doodh peene wale bachon ki talash mein Makkah ko chali. Us saal Arab mein bohot sakht kaal pada hua tha. Meri godd mein ek bacha tha magar bhook ki wajah se meri chhaation mein itna doodh nahi tha jo usko kaafi ho sake. Raat bhar woh bacha bhook se tadapta aur rota bilbilata rehta tha. Hum uski diljui aur dildari ke liye tamam raat baithkar guzarte the.
Makkah Ka Sakht Kaal Aur Halima Saadiya Ki Mushkilaat
Ek oontni bhi hamare paas thi. Magar uske bhi doodh na tha. Makkah Mukarrama ke safar mein jis khacchar par main sawar thi woh bhi kaafi kamzor tha. Qaafila walon ke saath na chal sakta tha. Mere safar ke saathi bhi isse tang aa chuke the. Badi-badi mushkilon se yeh safar tay hua.
Yateem Bachon Ke Liye Auraton Ka Nafrat Bhara Ravaiya
Jab yeh qaafila Makkah Mukarrama pahunchi to jo aurat Rasoolullah ko dekhti aur yeh sunti ke yeh yateem hai to koi aurat aapko lene ke liye tayyar nahi hoti thi. Kyunki bachche ke yateem hone ke sabab se zyada inaam-o-ikraam milne ki ummeed nahi thi. Idhar Hazrate Halima Saadiya ki kismat ka sitara Suraiyya se zyada buland aur chaand se zyada roshan tha.
Hazrat Halima Saadiya Ki Kismat Aur Apne Ghar Wapas Jana
Unke doodh ki kami unke liye rehmat ki zyadaati ka sabab ban gayi. Kyunki doodh ko kam dekhkar kisi ne unko apna bacha dena gawara na kiya. Hazrate Halima Saadiya ne apne shauhar ‘Harith bin Abdul-Uzza’ se kaha ke yeh to achha maloom nahi hota ke main khaali haath wapas chalun, isse to behtar yeh hi hai ke main is yateem hi ko le chalun. Shauhar ne isko manzoor kar liya.
Barkat-e-Nubuwwat Ka Zuhoor Aur Hazrat Halima Ki Godd
Hazrate Halima us durein yateem ko le aayi jisse main kehti hoon ke sirf Hazrate Halima aur Hazrate Amina hi ke ghar mein nahi balki poori duniya ujala hone wala tha. Yeh Allah ka fazle azeem hi tha ke Hazrate Halima ki soyi hui kismat jaag gayi. Sarware Kaaynat unki god mein gaye. Apne kheme mein laakar jab doodh pilane baithi to baarishe rehmat ki tarah barkate nubuwwat ka zuhoor ho gaya.
Oontni Aur Halima Saadiya Ke Ghar Ki Barkatein
Khuda ki shan dekhiye ke Hazrate Halima mubarak pistan (chaati) mein is qadar doodh utara ke Rehmate Alam ne bhi aur unke razai bhai ne bhi khoob pet bhar doodh piya. Dono aaraam se so gaye. Idhar oontni ko dekha to uske than doodh se bhar gaye the. Hazrate Halima ke shauhar ne doodh dooha aur miya biwi ne khoob sair ho kar doodh piya. Dono shikam seer ho kar raat bhar sukh aur chain ki neend soye.
Halima Ke Shauhar Ka Hairat Angaiz Bayaan
Hazrate Halima ka shauhar Huzoor Rehmate Alam ki yeh barkatein dekhkar hairaan reh gaya. Kehne laga ke Halima! Tum bada hi mubarak bacha lai ho. Hazrate Halima ne kaha ke haan! Mujhe bhi yeh hi ummeed hai ke yeh nihayat hi babarkat bacha hai. Khuda ki rehmat ban kar humko mila hai. Mujhe yeh ummeed hai ke ab hamara ghar khair-o-barkat se bhar jayega.
Tez Raftaar Khacchar Aur Qaafila Walon Ki Hairani
Hazrate Halima farmati hain ke iske baad hum Rehmate Alam ko apni god mein lekar Makkah Mukarrama se apne gaon ki taraf rawana hue to mera wahi khacchar ab is qadar tez chalne laga ke kisi ki sawari uski gard ko nahi pahunchti thi. Qaafila ki auratein hairaan hoke mujhse kehne lagi ke Ae Halima! Kya yeh wahi khacchar hai jis par tum sawar hoke aayi thi? Ya koi tez raftaar khacchar tumne kharid liya hai?
Sookhe Hue Charagah Mein Barkaton Ka Waqia
Bahar-hal hum apne ghar pahunche. Wahan sakht sookha pada hua tha. Tamam janwaron ke than mein doodh sookh chuke the. Lekin mere ghar mein qadam rakhte hi meri bakriyon ke than doodh se bhar gaye. Ab rozana meri bakriyan jab charagah se ghar wapas aati to unke than doodh se bhare hote, haalaanki poori basti mein aur kisi ko apne janwaron ka ek qatra doodh nahi milta tha.
Hazrat Halima Ke Qabile Walon Ka Same Charagah Apnana
Mere qabile walon ne apne charwahon se kaha ke tum log bhi apne janwaron ko usi jagah charao jahan Halima ke janwar charte hain. Chunanche sab log usi charagah mein apne janwar charane lage jahan Halima ki bakriyan charti thi. Magar yahan to charagah aur jungle ka koi amal-o-dakhal nahi tha. Yeh to Rehmate Alam ke barkate nubuwwat ka faiz tha jisko main aur mere shauhar ke siwa meri qaum ka koi shaks nahi samajh sakta tha.
Do Saal Tak Hazrat Muhammad ﷺ Ka Halima Ke Saath Rehna
Isi tarah hardam har qadam par hum barabar aapki barkaton ko dekhte rahe. Yahan tak ke do saal poore ho gaye. Maine aapka doodh chhuda diya. Aapki tandurusti aur badhne ka haal doosre bachon se itna achha tha ke do saal mein aap khoob achhe bade maloom hone lage. Ab hum dastoor ke mutabiq Rehmate Alam ko unki maa ke paas laaye aur unhone jitna unke paas tha uske hisaab se humko inaam-o-ikraam se nawaza.
Do Saal Tak Hazrat Muhammad ﷺ Ka Halima Ke Saath Rehna
Qayde ke mutabiq ab humein Rehmate Alam ko apne paas rakhne ka koi haq nahi tha. Magar aapki barkate nubuwwat ki wajah se ek lamha ke liye bhi humko aapki judai gawara nahi thi. Ajeeb ittefaq tha ke is saal Makkah Muazzama mein wabai bimari phaili hui thi. Chunanche humne is wabai bimari ka bahana karke Hazrate Amina bibi ko raazi kar liya.
Wabai Bimari Aur Hazrat Amina Ka Raazi Hona
Phir hum Rehmate Alam ko wapas apne ghar laaye aur phir hamara makan rehmaton aur barkaton ki khan ban gaya. Aap hamare paas nihayat khush-o-khurram rehne lage. Ghar se bahar nikalte aur doosre ladkon ko khelte hue dekhte. Magar khud hamesha har qism ke khel-kood se alag rehte.
Hazrat Muhammad ﷺ Ki Bachpan Ki Zindagi Aur Khel Kud Se Alag Rehna
Ek roz mujhse kehne lage ke Ammi jaan! Mere doosre bhai behan din bhar nazar nahi aate. Yeh log hamesha subah uthkar rozana kahan chale jaate hain? Main ne kaha ke yeh log bakriyan charane chale jaate hain. Yeh sunkar aapne farmaya Ammi jaan! Aap mujhe bhi mere bhai-behnon ke saath bheja kijiye. Chunanche aapke israar se majboor hokar aapko Hazrate Halima ne apne bachon ke saath charagah jaane ki ijazat de di.
Hazrat Muhammad ﷺ Ka Bakri Charagah Jaana Aur Sunnat Ki Paabandi
Aap rozana, jahan Hazrate Halima ki bakriyan charti thi, tashreef le jaate rahe. Bakriyan charagahon mein le jaakar unki dekh-bhaal karna jo tamam Ambiya aur Rasoolon ki sunnat hai. Aapne apne amal se bachpan hi mein apni ek nubuwwat ki khaslat ka izhar farma diya.