Shakke Sadr Ka Waqia | Nabi Muhammad ﷺ Ka Bachpan Aur Seene Ka Chaak Hone Ka Moajiza

Shakke Sadr Golden calligraphy artwork of the Urdu text "Barkat-e-Nubuwwat Ka Zuhoor" on a clean white background, featuring elegant and intricate design elements.

Shakke Sadr (Seene Ka Chaak Hone Ka Moajiza)

Shakke Sadr (Seene ka chaak kiya jana): Ek din aap charagah mein the ke ekdum Hazrate Halima ke ek bete ‘Zumra’ daudte aur haapte kaapte hue apne ghar par aaye aur apni maa Hazrate bibi Halima se kaha ke Amma jaan! Bada gajab ho gaya Muhammad (S.A.W.) ko teen aadmiyon ne jo bohot hi safed libaas pehne hue the chit lita kar unka pet phaad dala hai. Main usi haal mein unko chhod kar bhaga hua aaya hoon.

Hazrat Halima Aur Unke Shauhar Ka Dehshat Bhara Manzar

Yeh sunkar Hazrate Halima aur unke shauhar dono badhawaas hoke ghabraye hue daud kar jungle mein pahunche to yeh dekha ke aap baithe hue hain. Magar khauf-o-haras se chehra peela aur udaas hai. Hazrate Halima ne pyare andaaz se aapki peshani ko chumkar poocha ke beta! Kya baat hai?

Farishton Ne Nabi Kareem ﷺ Ka Seena Chaak Kiya

Aapne farmaya ke teen shaks jinke kapde bohot hi safed aur saaf-suthre the mere paas aaye aur mujhko chit lita kar mera pet chaak karke usmein se koi cheez nikaal kar bahar phenk di. Phir koi cheez mere shikam (pet) mein daal kar pet ko see diya. Lekin mujhe zarra barabar bhi takleef nahi hui. (Madarijun Nubuwwah Jild-2, Safa-21)

Hazrat Halima Ka Dar Aur Wapas Makkah Lautna

Yeh waqia sunkar Hazrate Halima aur unke shauhar dono nihayat ghabraye. Shauhar ne kaha ke Halima! Mujhe dar hai ke unke upar shayad kuch aaseb(jinn ya shaitaan) ka asar hai. Lihaza bohot jald tum inko inke ghar walon ke paas chhod aao. Iske baad Hazrate Halima aapko lekar Makkah Mukarrama aayi. Kyunki unhein is waqia se yeh khauf paida ho gaya tha ke shayad ab hum jaisa chahiye waisa unki hifazat na kar sakein.

Hazrat Bibi Amina Ka Imaan Bhara Jawab

Hazrate Halima ne jab Makkah Muazzama pahunchekar aapko aapki walida majida ke supurd kiya to unhone poocha ke Halima! Tum to badi khwahish aur chah ke saath mere bachche ko apne ghar le gayi thi. Phir is qadar jald wapas le aane ki wajah kya hai? Jab Hazrate Halima ne pet chaak karne ka waqia bayan kiya aur aaseb ka shubha zahir kiya to Hazrate bibi Amina ne farmaya ke hargiz nahi.

Khuda ki qasam mere noore nazar par hargiz hargiz kabhi bhi kisi jinn ya shaitaan ka amal dakhal nahi ho sakta. Mere bete ki badi shan hai. Phir ayyame hamal aur bawaqte paidaish ke hairat angez waqiaat sunakar Hazrate Halima ko mutmain kar diya. Hazrate Halima aapko aapki walida majida ke supurd karke apne gaon wapas aayi. Aap apni walida majida ki aagoash mein parvarish paane lage.

Nabi ﷺ Ke Seene Ka Chaak Hona Kitni Baar Hua?

Rakke Sadr kitni baar hua?: Hazrat Maulana Shah Abdul Aziz Sahab Muhaddise Dehlvi ne ‘Surah-e-Alam Nashrah’ ki tafseer mein tahreer farmaaya hai ke chaar martaba aapka muqaddas seena chaak kiya gaya aur usmein noor wa hikmat ka khazana bhara gaya.

Har Martaba Shakke Sadr Ki Hikmat Aur Maqsad

Pehli martaba jab aap Hazrate Halima ke ghar the jiska zikr ho chuka, uski hikmat yeh thi ke Huzoor un waswason aur khayalat se mehfooz rahein jinmein bachche phans kar khel-kood aur shararaton ki taraf mael ho jaate hain.

Gar-e-Hira Mein Noor-e-Sakeena Ka Bharna

Doosri baar das bars ki umr mein hua, taaki jawani ki puraashob shahwaton ke khatarat se aap bekhouf ho jaen. Teesri baar gare Hira mein Shakke Sadr hua. Aapke dil mein noore sakeena bhar diya gaya taaki aap wahi-e-Ilahi (Allah ka paighaam) ke azeem bhaari bharkam bojh ko bardasht kar saken.

Shabe Me’raj Ka Roohani Moajiza

Chauthi martaba Shabe-Me’raj mein aapka mubarak seena chaak karke noor wa hikmat ke khazanon se bhara gaya. Taaki aapke qalbe mubarak mein itni wus’at aur salahiyat paida ho jaaye ke deedaare Ilahi ki tajalliyon aur kalame Rabbani ki haibaton aur azmaton ko bardasht kar saken.

Hazrat Umme Aiman (Barakah): Nabi ﷺ Ki Parwarish Karnewali

Umme Aiman: Jab Huzoor alaihis salaat was salaam Hazrate Halima ke ghar se Makkah Mukarrama pahunch gaye aur apni walida muhtarma ke paas rehne lage to Hazrate ‘Umme Aiman’ jo aapke walid maajid ki bandi (naukrani) thin, aapki khatirdari aur khidmat guzari mein din raat jee jaan se masroof rehne lagi. Umme Aiman ka naam ‘Barakah’ hai.

Hazrat Zaid Bin Harisa Aur Hazrat Umme Aiman Ka Nikah

Yeh aapko aapke walid se virasat mein mili thin. Yahi aapko khana khilati thin, kapde pehnati thin, aapke kapde dhoya karti thin. Aapne apne azaad kiye hue ghulaam Hazrate Zaid bin Harisa se inka nikah kar diya tha, jinse Hazrate Usama bin Zaid paida hue. (Radiyallahu anhu)

Farishton Ka Jhoola Hilana Aur Chand Ka Ishaara Manna

Bachpan ki adayein: Hazrate Halima ka bayan hai ke aapka gahwara yane jhoola farishton ke hilaane se hilta tha. Bachpan mein chaand ki taraf ungli uthakar ishaara farmaate the to chaand aapki ungli ke isharon par chala karta tha. Jab aapki zaban khuli to sabse awwal jo kalaam aapki zaban mubarak se nikla woh yeh tha:

Allah-u-Akbar Allah-u-Akbar Alhamdu Lillahi Rabbil Aalameen wa Subhanallahi bukratan wa aseela.

Bachpan Se Haya Aur Taharat Ka Namuna

Bachchon ki aadat ke mutabiq kabhi bhi aapne kapdon mein pishaab wa paikhana nahi farmaaya, balki hamesha ek fix waqt par rafaa-e-haa’jat farmaate. Agar kabhi aapki sharmgah khul jaati to aap ro-ro kar fariyaad karte. Jab tak sharmgah na chhup jaati aapko chain aur qarar nahi aata tha. Agar sharmgah chhupane mein mujhse takheer ho jaati to ghaib se koi aapki sharmgah chhupa deta.

Bachchon Ko Farmaya: “Main Khelne Ke Liye Paida Nahi Kiya Gaya.”

Jab aap apne paon par chalne ke qaabil hue to baahar nikal kar bachchon ko khelte hue dekhte, magar khud khel-kood mein shaamil nahi hote the. Ladke aapko khelne ke liye bulate to aap farmaate: “Main khelne ke liye nahi paida kiya gaya hoon.”

share this with friends

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top