Business & Entrepreneurship in Islam

business represented image with text and photos

Success in Business

Marwi(bayan) hai ke “Allah ne rizq ke 10 hisse kiye, 9 hisse Businesss man ko diye aur ek hissa poori duniya ko.”

Business Man ka Martaba(Position/Status)

Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Sacha aur imaandar Businesss man qayamat ke din Nabi, Siddiq aur Shaheedon ke saath hoga.”

Qayamat ke din zyada tar Businesss man gunaahgaar uthaye jayenge, magar jo Businesss man parhezgaar ho, logon ke saath achha behave kare aur sach bole — woh bach jaayega.

Islam mein business ka matlab sirf badi companies kholna nahi hota, balki buying aur selling (kharid-farokht) ka amal hota hai

Sabse Behtareen Kamaai(Income)

Sabse behtareen kamaai un Businesss man ki hai jo baat karte waqt jhooth nahi bolte, amanat mein dhoka nahi dete, waada nahi todte , khareedte waqt maal ki burai nahi karte, aur bechte waqt uski hadd se zyada taareef nahi karte. Jab un par karz hota hai to chhupte nahi, aur jab kisi se paise lene ho to sakhtee se nahi mangte.

Business me Barkat khatam karne baale Kaam

Business ek bohot behtareen aur paak kaam hai, lekin aksar log business mein jhooth aur jhooti kasmein kha lete hain. Isi liye hadith mein jahan Business ka zikr aata hai, wahan jhooth bolne aur jhooti kasmein khane se bhi mana kiya gaya hai. Agar Businesss man chahta hai ke uske maal mein barkat ho to in buri aadaton se doori rakhe.

Businesss man ki in bure rawayyon ki wajah se bazaar ko zameen ka sabse bura hissa kaha gaya hai, kyunki shaitaan har subah apna jhanda lekar bazaar mein aata hai. Is liye bina zarurat ke bazaar jaana pasand nahi kiya gaya.

Businesss ke zaroori rules seekhna farz

Businesss man ke liye Businesss ke zaroori rules seekhna farz hai. Jab tak khareed-farokht(buying and selling) ke rules (masail) na samajh le — kaunsi deal jaayaz hai aur kaunsi na-jaayaz — us waqt tak business shuru na kare.

Business & Allah ke Haqooq

Businesss mein itna busy na ho jaaye ke Allah ka zikr bhool jaaye. Sahaba karam bhi Businesss karte the, lekin jab Allah ke haqooq ka waqt aata to wo apna business chhod kar ibadat mein lag jaate the.

Business Rules

Businesss man ko khareed-farokht (buying and selling) mein narmee aur aasan tareeqa use (ikhtiyaar) karna chahiye, jaisa ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Allah us shakhs par rahmat kare jo bechne, khareedne aur paise maangne (len-den) mein narmee se kaam le.”

Behaviour

Har Musliman ko acche akhlaaq (behavior) rakhna zaroori hai, lekin Businesss man ke liye to khaas tor par. Achha akhlaaq business mein barkat ka sabab hai, jabke bure behaviour se customer door ho jaate hain.

Imaandari

Businesss man ko achcha behave karne bala aur imaandar hona zaroori hai. Jis Businesss man ka rawayya bura ho, jo haram kamaata ho, woh kabhi Businesss mein kaamyab nahi ho sakta. Imaandari se hi log us par bharosa karte hain. Jo kam tolta hai, jhootha hota hai ya dhokha deta hai, wo kuch din zahiri taur par faida le leta hai lekin aakhir mein usay sakht nuksan uthana padta hai.

Mehnat

Duniya mein koi bhi kaam mehnat ke bagair nahi hota, aur Businesss to zyada mehnat, hoshiyaari aur active rehne ka kaam hai. Aalsi aur sust aadmi kabhi kaamyab nahi hota. Kehawat hai: “Bina mehnat ke toh ek niwala (bite) bhi munh mein nahi jaata.” Businesss man kitna bhi bada aadmi ban jaaye, lekin sab kaam naukron par na chhod de. Kuch kaam apne haath se bhi kare, isse barkat milti hai aur susti aur bure workers se bachav hota hai, In Sha Allah.

Chote Businesss se Starting

Businesss ke rules mein se yeh bhi hai ke pehle chote Businesss se shuru kare aur dheere-dheere aage badhe, kyunki Nabi ﷺ ne ek shakhs ko hukm diya tha ke lakdiyaan kaat kar sell (farokht) kare.

Business ka selection & Knowledge

Businesss shuru karne se pehle business ka sahi intekhab (selection) kare, kyunki har kaam har insaan ke liye munasib(sahi) nahi hota. Koi shakhs kisi cheez ka business karke zyada faida kama leta hai, lekin jab doosra usay dekh kar wahi shuru karta hai to usse nuksan hota hai, kyunki woh uske liye theek nahi hota. Businesss shuru karne se pehle poori maloomat(infotmation) hasil kare, warna bina ilm(knowledge) ke business karne se sirf nuksan hota hai.

Sawar(Patience) & Allah Per Bharosa

Jaldbaazi se bache. Kuch log jab business shuru karte hi crore-pati banne ke khwab dekhne lagte hain. Agar do din mein faida na mile to kaam chhod kar naya shuru kar dete hain. Businesss man ko chahiye ke Allah par bharosa rakhe, sabr kare aur lagataar mehnat kare, isi mein barkat hai.

Jaldi Ameer Banne ka Chakkar

Kuch Businesss man jaldi ameer banne ke chakkar mein zyada profit par maal(saaman) bechte hain. Aisi cheez jo doosri jagah sasti milti hai, apne paas mehngi bechne lagte hain. Nafa kamaane ka rule yeh hai ke aam cheezon mein kam profit lein, aur jo rare (nayaab) maal ho usmein zyada profit le sakte hain.

Businesss mein Nuksan ka Reason

Businesss mein nuksan ka ek reason bekar kharch bhi hota hai. Kai log chhota business rakhte hue bhi bada kharch karte hain, jisse dukaan wo kharch nahi utha pati aur akhirkar nuksan hota hai. Bazaar ke rawayye (market trends) ko samajhna bhi zaroori hai, kyunki jo Businesss man market ke system ko nahi janta hai wo aasani se dhokha kha jata hai aur nuksaan uthata hai.

Rate Badhne ka Sochkar Maal ko Rokna

Maal ko bekaar roke rakhna bhi barkat khatam kar deta hai. Kuch Businesss man ye soch kar maal rok lete hain ke rate badhega, lekin aksar rate kam ho jata hai aur nuksan uthana padta hai. Behtar hai thoda-thoda roz ka munafa lein bajaye saal bhar ke ek baar ke bade munafe ke. Zakhira andozi (maal rok kar mehengai lana) Islam mein mana hai.

Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo 40 din tak maal roke rakhe ga, Allah usay bimari (juzam) aur barbaadi mein mubtala karega.” Yeh hukum khaas tor par khaane ki cheezon, anaj, phalon(fuits) aur jaanwaron ke chare par bhi lagu hota hai. Agar maal rokna logon ke liye nuksaandah ho to yeh gunaah hai.

Barkat Chali Jana

Tajir ko apne maal ki zakat nikalni chahiye, kyunki jis maal ki zakat nahi di jaati, usse barkat chali jaati hai.

Doosre Businesss Man ke Saath Bartav

Jaise customer ke saath achha bartav zaroori hai, waise hi doosre Businesss man ke saath bhi acha rawayya rakhna chahiye. Baghair wajah tang karna, jalan ya nafrat paida karna apne business par bura asar daal sakta hai.

Halal Kamaai ke Fayede

Aakhir mein, bekaar baithne se behtar hai halal kamaana. Halal kamaai se dil mein ibadat ka shauk, nek amal ka jazba aur Allah ki ita’at ka zehan paida hota hai. Jis ghar mein sirf khane wale ho aur koi kamaane wala na ho, woh ghar chand din ka mehmaan hota hai.

share this with friends

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top