
Rastan ka ta’aruf: Qila-dar sheher, awaam aur pani ki kashish
Allama Waqidi likhte hain: Ameer-e-Lashkar Hazrat Abu Ubaidah apna lashkar le kar rawana hue aur jab maqam Rastan pahunche to wahan camp lagaya. Rastan ek mazboot aur qila-daar sheher tha jahan paani ki bahut zyada supply thi aur logon ki tadaad bhi kaafi thi.
Hazrat Abu Ubaidah ne Rastan ke logon ke paas apna ek paighaam bheja aur kaha ke “tum hamari zimmedari mein aa jao.” Lekin Rastan walon ne mana kar diya aur kaha ke jab tak Badshah Heracles (Hercle) ke saath tumhara koi faisla nahi hota, hum koi action nahi le sakte. Baad mein jo Allah chahega wahi hoga.
Hazrat Abu Ubaidah ne farmaya: “Hum Heracles Badshah se jang karne ja rahe hain. Hamare paas sipahi to hain lekin saman bahut hai, jise le jaana mushkil hai. Isliye hum chaahte hain ke jab tak hum wapas na laut aayein, tum hamara saman apne paas amanat rakh lo.”
Rastan ke log apne sardar ke paas gaye aur saara maamla usse bataya. Usne kaha: “suru se hi badhsha o aur fauji logon ka yahi tariqa raha hai ke wo logon ki amanat sambhalte hain. Agar hum unka saman amanat rakh lein to isme humein koi dikkat nahi honi chahiye.”
Rastan ke sardar ka naam Naqeetas tha. Usne Hazrat Abu Ubaidah ko paighaam bheja: “Aapko jis cheez ki zarurat ho, use poora karna hamara farz hai. Jab tak Badshah Heracles ke saath aapka faisla nahi hota, hum aapke saath Rastan walon jaisa friendly behavior rakhenge.”Hazrat Abu Ubaidah ne jawab diya: “InshaAllah, hum bhi aapke saath waisa hi sulook karenge.”
Sheher e Rustan fatah karne ke liye Musalmano ki jungi planning
Allama Waqidi likhte hain: Hazrat Thabit bin Qais bin Alqamah ne bataya: Jab Lashkar-e-Islam Rastan me camp laga raha tha, main bhi unke saath tha. Hazrat Abu Ubaidah bin Jarrah, jo Ameer e lashkar(Commander) the, ne un logon ko bulaya jo aage kya karna hai ke liye mashwara de sakte the. Aap ne kaha:
“Rastan bahut bada aur mazboot sheher hai. Isko trick se ya strategy se lena mushkil hai. Main chahta hoon ke tum logon me se 20-20 sipahiyon ka ek group chunun, phir unko 20-20 boxes (sandook) me dal du. In boxes ke tala locks andar ki taraf honge aur keys unhi ke paas honge jo andar honge. Jab ye boxes qile ke andar pohonch jayenge, tum Allah ka naam lekar ekdam bahar aa jana, phir jab tum mushrikeen par hamla karoge, hum bhi tumhari madad ke liye aa jayenge.”
Hazrat Khalid bin Waleed khade hue aur bole: “Agar aap is plan ka iraada kar chuke hain to mera mashwara bhi lein. Tala locks bahar ki taraf hon taaki kisi ko shak na ho, aur boxes ke neeche kaat ke unhe chain waghera se is tarah baandh dia jaye ke kholna easy ho. Jab boxes qile ke andar chale jayenge to ye log achanak bahar nikal kar zordar takbeeren lagayenge. Unki takbeeren sunte hi hum madad ko pohonch jayenge.”
Hazrat Abu Ubaidah ne Hazrat Khalid bin Waleed ka mashwara accept kiya aur boxes bulwaye. Ye boxes waise hi the jaise Romans ghalla aur saman laane ke liye use karte the. Aap ne un boxes ke neeche kaat ke chain se baandh dia.
Sabse pehle jo log boxes me gaye wo the: Dirar bin Azwar, Maetab bin Najibah, Qais bin Bameerah, Abdur Rahman bin Abu Bakr Siddiq, Malik bin Ashtar, Auf bin Salim, Sabir Hil, Aqabah bin Aas, Daarim bin Fayaz, Muslimah bin Kulkal, Maazin bin Aamir, Asid bin Salmah, Rabee’ah bin Aslam Hakeeb, Fare’ bin Harmalah, Naufal bin Jar’al, Jundub bin Saif, aur Abdullah bin Jafar Tayyar. Abdullah bin Jafar ko unka leader banaya gaya.
Ye boxes Romans ko de diye gaye. Jab boxes qile me pohonche to Naqeetas ne unhe apne palace me rakhwaya. Hazrat Abu Ubaidah ne lashkar le kar wahan se move kiya aur “Jay Suriyah” naam ki basti me camp lagaya. Jab raat ka andhera chha gaya aur puri shanti ho gayi, Hazrat Abu Ubaidah ne Hazrat Khalid bin Waleed ko lashkar ki command de kar mujahideen ki madad ke liye Rastan bhej diya.
Hazrat Khalid (R.A) ka hamlay ke liye niklana
Hazrat Khalid bin Waleed apne sipahiyon ke saath Rastan ki taraf rawana hue. Aap sheher ke kareeb ek pul par the jab zor se awazain sunai di, saath hi “Tahleel” ke nara (La ilaha illallah) buland hone lage.
Allama Waqidi likhte hain: Qasr-e-Imarat (Governor Palace) me Sahaba ka maamla kuch is tarah hua ke jab sardar Naqeetas ne boxes (sandook) palace me rakhe, to apne sardaron aur logon ko bula kar yeh tasdeeq ki ke Muslims sheher se chale gaye hain, ab sajda-e-shukr ada karo. Us waqt unhone Bible (Injeel) padhna shuru kiya. Jab Bible padne ki awaz buland hui, to Sahaba ne awaaz suni aur boxes se bahar nikal aaye. Hath me hathiyar le kar aage badhe, unhone Naqeetas ki biwi, Mariya, ko pakad liya aur kaha: “Agar apni jaan pyari hai to sheher ki keys hume de do.”
Naqeetas ki biwi ne apni jaan bachane ke liye keys Muslims ke hawale kar di. Jab Muslimon ke paas sheher ke gates ki keys aa gayi, to unhone Takbeer (Allahu Akbar), Tahleel (La ilaha illallah), aur Salam buland awaaz me padhna shuru kiya. Bible ki awaaz jahan se aa rahi thi, Sahaba wahan pohonch gaye. Rastan ke log Muslims ka muqabla nahi kar paaye kyunki wo us waqt bilkul bhi hathiyar se lehs nahi the.
Hazrat Abdullah bin Jafar Tayyar ne Rabee’ah bin Aamir, Waleed bin Salmah, Ikrimah bin Abu Jahl, Aqabah bin Aas, Fare’ bin Harmalah ko keys diye aur kaha: “Sheher ke gates kholo, Takbeer aur Tahleel buland awaaz me padhte hue. Tumhare Muslim bhai sheher ke chaaron taraf khade hain. Paas darwaze Bab-e-Qibli ki taraf khulte hain, jise Bab-e-Homs bhi kehte hain. Unhone waisa hi kiya — gates khol diye, La ilaha illallah aur Allahu Akbar ke nara buland kiye.
Ahl-e-Rastan ka ita‘at qabool karna
Rastan ka itaat qabool hota hai: Jab Hazrat Khalid bin Waleed apna lashkar le kar madad ke liye pohonch gaye, to Muslims ka lashkar Takbeer (Allahu Akbar) aur Tahleel (La ilaha illallah) ki awaaz buland karte hue sheher me daakhil hua. Dono taraf se Takbeer ke jawab aaye aur sab mil kar sheher me ghus gaye.
Jab Rastan ke logon ne ye awaaz suni to samajh gaye ke ab sheher Muslims ke qabze me aa chuka hai. Pura sheher unke control me tha. Rastan ke log be-bas ho kar jahan bhi the wahan se nikal aaye aur kehne lage: “Hum aapse ladna nahi chahte, ab hum aapke prisoners hain. Hamare saath insaaf karo kyunki hum apni qoum se zyada tumse mohabbat karte hain.”
Hazrat Khalid bin Waleed ne Rastan ke logon ko Islam accept karne ki dawat di. Kuch ne Islam qabool kiya, kuch ne jizya (tax) ada kiya. Jab sardar Naqeetas ko Islam ki dawat di gayi, usne kaha: “Main apna deen kabhi nahi badal sakta.” Khalid bin Waleed ne jawab diya: “Agar aisa hai to phir tumhe apne parivaar ke saath yahan se nikalna hoga.”
Jis waqt Naqeetas ko Rastan se nikaala gaya to wo apne parivaar aur gharwalo ko le kar Homs (Hums) chala gaya. Wahan pohonch kar usne logon ko bataya ke Rastan Muslims ke haath fatih (jeet) ho gaya hai. Ye khabar sunte hi Homs ke log bechain ho gaye aur kehne lage: “Muslim to subah-shaam hamle karte rehte hain.”
Udhar Hazrat Abdullah bin Jafar Tayyar ne Hazrat Abu Ubaidah ko Rastan ke fatih hone ki khabar bheji. Ye khushkhabri milte hi Hazrat Abu Ubaidah ne Allah ka shukar ada kiya aur Yemen ke ek hazar sipahiyon ka lashkar Rastan ki hifazat ke liye bheja. Un sipahiyon ki command Hilal bin Murrah Yashkari ko di gayi, taaki wo sheher ki security ka zimma sambhalen.
Refrence
Futuh al-sham by Allama Waqidi book and hadith
Keep growing nice strory telling ❤️